Waqt ki raahon mein thakne lage hai.. Thoda hum thoda tum.
Pareshaniyo se chaaro taraf ghirne lage hai.. Thoda hum thoda tum.
Wo muskurahat bhari zindagi,
Jab bachpan mein kisi se mila karte the.
Khul ke baatein kiya karte the,
ab ghabrane se lage hai kisi se baat karne mein.. Thoda hum thoda tum.
School college ke dosto se,
Pange lena anjaane logo se.
Future ki parwah kiye bagair,
Dosti nibhane ke waadein kiya karte the.. Thoda hum thoda tum.
Final year ke exams mein,
Exam khatam hone ke baad dosto ki bakwaas mein.
Haste muskurate, Cheekhte chillate,
Maar pitayi karte karte sambhalne lage the.. Thoda hum thoda tum.
Aaj pareshaniya badi hai,
khushiya bahut kam hai.
Par aaj bhi ek dusre se milkar ke,
Kitna khush rehne lage hai.. Thoda hum thoda tum.
Started back with a thought of Friendship.
Dosti ke naam ek aur shayari banti hai:
Vaadein bade kiye hai bhagwaano ki tarah insaano se,
Par unko kya pata waade hote hi hai humare maykhano se.

Comments